be-khud mujhe ai jalwa-e-jaanana bana de duniya meri hairat ko tamasha na bana de ai ishq ab ehsas se begana bana de warna kahin gham-e-dil ko khilauna na bana de jis bazm mein pahunchun main banun bazm ka hasil itna to teri chashm-e-karimana bana de aaya hun main bhatka hua sahra-e-junun se ai aql kahin tu bhi na diwana bana de mahfil meri aankhon mein tujhe dhund rahi hai tu mujh ko kahin anjuman-ara na bana de bad-bakht hun jate hue darta hun chaman mein qismat kahin har phul ko kanta na bana de 'jauhar' pe sitam tark-e-mohabbat ki hai tamhid ye jaur tumhein aur bhi pyara na bana de har gam pe kuchh phul chune jate ho 'jauhar' ye shauq kahin bagh ko sahra na bana de