dard ki aankh se tere gham ka lahu

dard ki aankh se tere gham ka lahu
ban ke sailab bahne laga chaar-su

daman-e-dil jhatak kar koi chal diya
gungunati rahi der tak aab-ju

khushk shakhon ne dharti ka gham kah diya
zard-patton ki bach hi gai aabru

bain karti hawaon ki aashuftagi
chhin kar le gai kawish-e-justuju

dekhne sogwaran-e-yusuf hamein
kitne paighambaron ki luti aabru

phul apni tamazat se sanwla gae
lakh phaila raha daman-e-rang-o-bu

apni sanson pe yun bad-gumani si hai
koi kate badan to na nikle lahu

'mir'-ji wo mughanni kahan kho gaya
hum to ghum aae hain dar-ba-dar ku-ba-ku


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close