be-khud-o-hushiyar ki baaten karen sarmad-e-sarshaar ki baaten karen sumbulistan hai nazar ke samne husn-e-zulf-e-yar ki baaten karen lala-o-gul ke hai joban par nikhaar ab lab-o-rukhsar ki baaten karen hai jahan mein aamad-e-fasl-e-bahaar ab gul-o-gulzar ki baaten karen dard-e-dil se 'jauhar' aankhen zard hain nargis-e-bimar ki baaten karen