ishq ke majraat yaad nahin juz tere koi baat yaad nahin yaad hai qissa-e-alif-laila sabaq-e-diniyat yaad nahin lagi bazi thi husn-o-ulfat mein kis ne phir khai mat yaad nahin garm rahti thi jin se bazm-e-aish ab to wo tazkiraat yaad nahin munh lagi jab se dukht-e-raz 'jauhar' lutf-e-qand-o-nabaat yaad nahin