be-libasi tabah kar degi ye udasi tabah kar degi jo guman ko yaqin mein badla ruh pyasi tabah kar degi khud-farebi rahe to achchha hai khud-shanasi tabah kar degi wahima wahima hi rahne do haq-shanasi tabah kar degi khud ko rakh ke na bhul jaun kahin bad-hawasi tabah kar degi