hamare azm ke bais tumhaara ishq kaamil hai wagarna dil to sine mein faqat patthar ki ek sil hai ajab si baat kah di hai tumhein shayad giran guzre teri dhadkan se sargoshi meri sanson ki manzil hai sabab gulshan mein na jaane ka main ab munkashif kar dun mere sheron mein teri guftugu ki khushbu shamil hai main apni band aankhon se bhi tum ko dekh sakti hun mujhe bhula nahin ab tak tere sine pe jo til hai zara kholo to band mutthi hawa thodi si aane do teri mutthi mein 'nighat' ka jo ye thahra hua dil hai