be-makan mere khwab hone lage ratjage bhi azab hone lage husn ki mahfilon ka wazn badha jab se hum baryab hone lage hai ajab lams un ke hathon ka sang-reze gulab hone lage ab pighalne lage hain patthar bhi rabte kaamyab hone lage mera sach bolna qayamat tha kaise kaise itab hone lage zikr tha un ki bewafai ka aap kyun aab aab hone lage pur-sukun hijr saaten dekhun wasl lamhe azab hone lage hum bhi kahne lage hain raat ko raat hum bhi goya kharab hone lage kuchh zaban se nikal gaya tha yunhi kyun khafa aan janab hone lage ai 'zaki' mujh ko mil gai mearaj mere sher intikhab hone lage