aaj phir un se mulaqat pe rona aaya bhuli-bisri hui har baat pe rona aaya ghair ke lutf-o-inayat pe rona aaya aur apnon ki shikayat pe rona aaya aql ne tark-e-talluq ko ghanimat jaana dil ko badle hue haalat pe rona aaya ahl-e-dil ne kiye tamir haqiqat ke sutun ahl-e-duniya ko riwayat pe rona aaya hum na samjhe the ki ruswai-e-ulfat to hai ai junun teri khurafat pe rona aaya wo bhi din the ki bahut naz tha apne upar aaj khud apni hi auqat pe rona aaya mana karte magar is tarah se lazim bhi na tha aap ke talkh jawabaat pe rona aaya chhodiye bhi meri qismat mein likha tha ye bhi aap ko kyun mere haalat pe rona aaya