be-niyaz-e-saut-o-mahrum-e-bayan rakkha gaya yani harf-e-shauq ko zer-e-zaban rakkha gaya khwab mein rakkhi gai buniyaad-e-shahr-e-arzu qaid mein barfab ki shoala jawan rakkha gaya rahnumai di gai har mauj-e-tund-o-tez ko paniyon par har safine ko rawan rakkha gaya qudsiyon ko rifaten bakhshi gain firdaus ki khak ke putle ko zer-e-asman rakkha gaya dopahar ki dhup mein 'asif' jala jata hai jism saya-e-ashjar ko jaane kahan rakkha gaya