be-niyazi se mudaraat se Dar lagta hai

be-niyazi se mudaraat se dar lagta hai
jaane kya baat hai har baat se dar lagta hai
saghar-e-baada-e-gul-rang to kuchh dur nahin
nigah-e-pir-e-kharabaat se dar lagta hai
dil pe khai hui ek chot ubhar aati hai
tere diwane ko barsat se dar lagta hai
ai dil afsana-e-aghaz-e-wafa rahne de
mujh ko bite hue lamhat se dar lagta hai
hath se zabt ka daman na kahin chhut jae
aap ki pursish-e-haalat se dar lagta hai
main jo us bazm mein jata nahin 'ashar' mujh ko
apne sahme hue jazbaat se dar lagta hai
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close