be-parda ho ke jab wo lab-e-baam aa gaya aankhon pe meri did ka ilzam aa gaya ta-subh karwaten hi badalte rahenge hum un ka agar khayal sar-e-sham aa gaya bebakiyon pe un ki kisi ne nazar na ki meri nigah-e-shauq pe ilzam aa gaya is daur mein bahut hi ghanimat kaho use dukh mein agar kisi ke koi kaam aa gaya kitni hamari umr-e-mohabbat thi mukhtasar aaghaz hi kiya tha ki anjam aa gaya duniya ke gham bhi hum ne usi mein dubo diye 'amjad' nigah-e-naz ka jab jam aa gaya