chhai jo har su badli kali aankh mein aansu aae dekh sake na panchhi dali aankh mein aansu aae mere des ki jannat jaisi dharti ujdi ujdi har ja dekhi jab bad-hali aankh mein aansu aae khemon ki basti mein wo jo zinda lashen hain dekh ke un ki aankh sawali aankh mein aansu aae thanda sina dharti ka hai bhuk ke mare hain sab din tera aur raat hai kali aankh mein aansu aae kyunkar hum pardes ko apna des kahen batlao kis zalim ne rasm ye dali aankh mein aansu kis ko sine se liptaen kis ka matha chumen dekh ke ghar ka aangan khali aankh mein aansu aae jis ne ghar ke baghiche ko apne khun se sincha chhod gaya jab is ka mali aankh mein aansu aae 'amjad' kaisi aag lagi hai lafzon ke pani mein ujli ghazlen ho gain kali aankh mein aansu aae