be-qarari hai bahut khud se be-qarar bhi hai us ke honton tale iqrar bhi inkar bhi hai dun sadaen jo pukara karun sab na-manzur khub andar hai ana is liye lachaar bhi hai dil mein kya hadsa bechain kiye rahta hai jaane kis baat pe ranjur khatawar bhi hai jis ki khatir main rahi dur zamane bhar se mera dushman hai wahy jaanan mera pyar bhi hai ek din laut ke aaega yaqin hai mujh ko sakht hai aadmi yun bhi zara tahdar bhi hai phul ke jaisa hai 'raunaq' use main jaanti hun ain lahje mein kadak hai kahin talwar bhi hai