be-qararon ko kab qarar aaya maut bhi aai par na yar aaya jab hua jism khak yar aaya gard utthi to shahsawar aaya lut gaya karwan-e-sabr-o-qarar qasid-e-ashk ashk-bar aaya khas se jaise charagh jalta hai dagh ke kaam jism-e-zar aaya gar koi khaksar khak hua khak udane mera ghubar aaya kasa-e-charkh wazhgun hi raha ja ke mujh sa na baada-khwar aaya zulf se sair ru-e-rangin ki dam mein mausam-e-bahaar aaya lotiye misl-e-mahi-e-be-ab ki sar-e-tegh-e-abdar aaya us ne sau bar haal puchha 'arsh' shikwa lab par na ek bar aaya