girte hue jab main ne tera nam liya hai manzil ne wahin badh ke mujhe tham liya hai mai-khwar to hai mohtasib-e-shahr ziyaada rindon ne yunhi muft mein ilzam liya hai wo mil na sake yaad to hai un ki salamat is yaad se bhi hum ne bahut kaam liya hai har marhala-e-gham mein mili is se tasalli har mod pe ghabra ke tera nam liya hai tujh sa koi rahbar nahin ai duri-e-manzil ehsan tera hum ne bahr-gam liya hai ai shaikh dil-e-saf yunhi to nahin milta hum ne asar-e-ru-e-dil-aram liya hai sajdon mein wo pahli se halawat nahin 'kausar' jab se asar-e-gardish-e-ayyam liya hai