be-qasd safar jate hain malum nahin kyun phir khud hi thahar jate hain malum nahin kyun hum pyar se jine ki dua dete hain jin ko wo log bhi mar jate hain malum nahin kyun kuchh log tujhe dekh ke ai fasl-e-bahaaran ba-dida-e-tar jate hain malum nahin kyun ek wahm samajhte the haqiqat ko jo kal tak ab khwab se dar jate hain malum nahin kyun utre hue chehron ko bhi ye kahte suna hai kuchh hum se bhi dar jate hain malum nahin kyun ek silsila ashk hai shabnam magar is se gulzar nikhar jate hain malum nahin kyun manzil ki taraf rah-e-mohabbat ke musafir be-rakht-e-safar jate hain malum nahin kyun kuchh dekh ke kuchh soch ke kuchh log jahan se chup-chap guzar jate hain malum nahin kyun kashti ko dubo kar usi kashti ke muhafiz khud par utar jate hain malum nahin kyun ghar mein koi aaram ki surat nahin phir bhi thak-haar ke ghar jate hain malum nahin kyun han aks-e-rukh-e-sang-zada se bhi to ai 'lais' aaine sanwar jate hain malum nahin kyun