in ke rukh par hijab rahta hai jaise mah par sahab rahta hai wasl ka jab sawal ho un se bas nahin mein jawab rahta hai pas rah kar bhi darmiyan apne fasla be-hisab rahta hai husn walon se jo wafa chahe us ka khana kharab rahta hai ham-safar sohni si ho koi mere khun mein chanab rahta hai misl-e-taer hawa mein udta hun meri aankhon mein khwab rahta hai reg-e-sahra unhen nigalti hai jin ki rah mein sarab rahta hai man ki jis ko duaen mil jaen umr bhar kaamyab rahta hai jaane kis khak se bana hun main ruh mein iztirab rahta hai uljhe rishton ki talkh uljhan mein uljha uljha 'sahab' rahta hai