be-rang the aarzu ke KHake

be-rang the aarzu ke khake
wo dekh rahe hain muskura ke

ye kya hai ki ek tir-andaz
jab take hamare dil ko take

ab soch rahe hain kis ka dar tha
hum sambhle hi kyun the dagmaga ke

ek ye bhi ada-e-dilbari hai
har baat zara ghuma phira ke

dil hi ko mitaen ab ki dil mein
pachhtae hain bastiyan basa ke

hum wo ki sada fareb khae
khush hote rahe fareb kha ke

chhu aai hai un ki zulf 'mahshar'
andaz to dekhiye saba ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close