tamasha zindagi ka roz o shab hai hamari aankhon ko aaram kab hai chamakti hai tamanna jugnuon si andheri raat mein raunaq ajab hai zarurat dhal gai rishte mein warna yahan koi kisi ka apna kab hai kahin duniya kahan us ke taqaze wo tera mai-kada ye mera lab hai zaban hi tera sarmaya hai lekin 'ata' khamosh ye ja-e-adab hai