be-rukhi o bewafa achchhi nahin dil-jalon ki baddua achchhi nahin ghair bhi to ishq ka bharta hai dam sirf hum par hi jafa achchhi nahin dekh kar ghamgin mujhe kahte hain wo kyon tabiat aaj kya achchhi nahin pahle hi dil un ke hain tute hue jaan-nisaron se dagha achchhi nahin bosa lene par khafa ho kar kaha dekhiye aisi khata achchhi nahin le ke dil karte ho wapas kis liye kya sabab hai jins kya achchhi nahin phir wahi zikr-e-adu har baat mein aap ki bas ye ada achchhi nahin kis liye karte ho parda wasl mein aise mauqon par haya achchhi nahin dil na mane to batao kya karen hum ne mana iltija achchhi nahin bhanp jaega zamana dekhiye is qadar hum se haya achchhi nahin kya zarurat wo khariden kis liye kahte hain jins-e-wafa achchhi nahin ruthna albatta kuchh dilchasp hai yun to koi bhi jafa achchhi nahin raat din 'hajir' buton ka zikr ho koi baat is ke siwa achchhi nahin