be-ruKHi se qabl ulfat mein musibat kam na thi

be-rukhi se qabl ulfat mein musibat kam na thi
un se kuchh taskin thi warna aziyyat kam na thi

inqilab-e-dahr se hai un ki ye begangi
warna hum se bhi kabhi sahab-salamat kam na thi

husn-e-insan aarzi hai iltifat-e-husn bhi
un ke dil mein bhi kabhi meri mohabbat kam na thi

hum khuda ko dhundh lete rah par chalte agar
jazba-e-dil kam na tha duniya mein fursat kam na thi

ho ke hum nakaam samjhe pyar ke qabil tha kaun
har qadam par yun to ulfat mein nasihat kam na thi

wo to the dil mein makin hum dhundh late arsh se
hum mein himmat kam na thi dil mein aqidat kam na thi

ashk ho kar rah gae na-qadr-dani ka shikar
qadr-dan milta 'shifa' to in ki qimat kam na thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close