be-sabaati ke hain ya isbaat ke chaaron taraf

be-sabaati ke hain ya isbaat ke chaaron taraf
shahr mein charche hain ye kis baat ke chaaron taraf

ek meri zat se raushan hai wahshat ka makan
din ke hangame hain raqsan raat ke chaaron taraf

ek nakhlistan bhi hota hai sahraon ke bich
kya hua jo gham hain meri zat ke chaaron taraf

maqtal-e-ehsas pe rakkhi hain do aankhen meri
kitne lashe hain jawan jazbaat ke chaaron taraf

makdiyon ne bun diye jale na jaane kis liye
kaun dushman hai yahan khandaraat ke chaaron taraf

ab bhi zinda hain yazidi ab bhi tishna hain imam
ab bhi dushman hain bahut sadat ke chaaron taraf

tum ko kya malum tum phulon ke shaidai 'ziya'
koi sahra bhi hai in baghat ke chaaron taraf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close