bhul paya na wo aankhen na wo chehra ta-umr

bhul paya na wo aankhen na wo chehra ta-umr
kaisa manzar tha meri aankh mein khatka ta-umr

zindagi tujh se mera ishq bhi aasan na tha
par karta raha main aag ka dariya ta-umr

raat ki rani mahakti rahi ghar ke andar
aur bahar raha khurshid ka pahra ta-umr

bhul jaane ka amal bhi koi aasan na tha
ashk ban-ban ke lahu aankh se tapka ta-umr

main tahi-dast raha apni hi wahshat ka shikar
aur karti rahi duniya mera pichha ta-umr

apne qadmon se kabhi us ko nikalne na diya
mujh se bad-zan raha khud mera hi saya ta-umr

sari khushbu to mere ghar ke dar-o-baam mein thi
main 'ziya' kis ke liye dasht mein bhatka ta-umr


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close