be-sabab khauf se dil mera larazta kyun hai baat-be-baat yunhi khud se ulajhta kyun hai shor aise na kare bazm mein khamosh rahe ek tawatur se khuda jaane dhadakta kyun hai mom ka ho ke bhi patthar ka bana rahta tha ab ye jazbaat ki hiddat se pighalta kyun hai hijr ke jitne bhi mausam the wo kate hans kar phir sar-e-sham hi yaadon mein sisakta kyun hai us ke hone se main inkar karun to kaise aks us ka meri aankhon mein jhalakta kyun hai jab bhi khamoshi se tanhai mein baithi ja kar karb sa us ki rifaqat ka chhalakta kyun hai phut jae ye kisi taur koi thes lage ban ke phoda sa wo ab dil mein tapakta kyun hai jo muqaddar mein likha tha wo hua hai 'asra' khwab ki baaton se is tarah machalta kyun hai