ab is tarah sitam-e-rozgar hota hai qafas ke samne zikr-e-bahaar hota hai khuda ke waste daman ka chaak sine do kabhi kabhi to junun hoshiyar hota hai wafa ka zikr hi kyun chhedte hain ahl-e-wafa jab un ki khatir-e-nazuk pe bar hota hai wo samne hon to aansu nikal hi jate hain ye jurm wo hai jo be-ikhtiyar hota hai main mutmain hun agarche kharab hai mahaul khizan ke baad ka aalam bahaar hota hai