be-sabab thik nahin ghar se nikal kar jaana justuju ho koi dil mein to safar par jaana din ke tapte hue mausam mein bhatakna har-su sham aae to parindon ki tarah ghar jaana har guzarte hue be-rang se mausam ke liye ek nai rut ke nae phul yahan dhar jaana log jalta hua ghar dekh ke khush hote hain aur hum ne use ab apna muqaddar jaana zehn mafluj to afkar hain aaseb-zada ye bhi kya waqt hai har baat pe dar dar jaana saeban aab-e-rawan phul bahaaren khushbu in sarabon se har ek gam hai bach kar jaana us ki palkon pe chamak utthe hain jab bhi aansu qatre qatre ko mere dil ne samundar jaana