be-sabab wahshaten karne ka sabab jaanta hai main jo karta hun wo kyun karta hun sab jaanta hai bolte sab hain magar baat kahan karte hain ye saliqa to koi mohr-ba-lab jaanta hai mujh se gustakh ko wo kaise gawara kar le jab ki wo shahr-e-sukhan hadd-e-adab jaanta hai apne hi dhab se wo karta hai meri chaaragari kab chamakna hai mera tale-e-shab jaanta hai kaise mausam mein kahan rahat-e-jaan utrega aisi sab baaten dil-e-ranj-e-talab jaanta hai bhul sakta hai use ye dil-e-ayyar magar chashm-o-abru ka fusun lazzat-e-lab jaanta hai muskura kar jise milta hun hamesha 'azmi' ek wahi meri udasi ka sabab jaanta hai