be-samt masafat se mafar hai ki nahin hai

be-samt masafat se mafar hai ki nahin hai
manzil bhi koi pesh-e-nazar hai ki nahin hai

ghar chhod diya phir bhi yahi soch raha hun
raste mein kahin koi shajar hai ki nahin hai

waise to mera us se hai derina ta'alluq
ye baat use yaad magar hai ki nahin hai

main apne safine ko idhar dal raha hun
dariya tere sine mein bhanwar hai ki nahin hai

is shahr ne dekhi to na thi aisi siyahi
is shahr ki qismat mein sahar hai ki nahin hai

jis baat ka charcha hai yahan sab ki zaban par
us baat ki kuchh us ko khabar hai ki nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close