be-samt-o-be-KHayal thi aur main safar mein thi

be-samt-o-be-khayal thi aur main safar mein thi
wo sham pur-malal thi aur main safar mein thi

aise hi ek safar mein tha wo mere sath sath
so qurb se nihaal thi aur main safar mein thi

ek rasta tawil tha rim-jhim ka tha saman
wo sham be-misal thi aur main safar mein thi

aisi hi ek sham thi jab wo chala gaya
bas gham se main nidhaal thi aur main safar mein thi

bas itna yaad tha mujhe chalna hai be-thakan
himmat meri bahaal thi aur main safar mein thi

kab sham dhal gai 'dua' aur raat aa gai
ab tirgi sawal thi aur main safar mein thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close