ahl-e-mohabbat ki majburi baDhti jati hai

ahl-e-mohabbat ki majburi badhti jati hai
mitti se gulab ki duri badhti jati hai

mehrabon se mahal-sara tak dheron-dher charagh
jalte jate hain be-nuri badhti jati hai

karobar mein ab ke khasara aur tarah ka hai
kaam nahin badhta mazduri badhti jati hai

jaise jaise jism tashaffi pata jata hai
waise waise qalb se duri badhti jati hai

girya-e-nim-shabi ki neamat jab se bahaal hui
har lahza ummid-e-huzuri badhti jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close