be-samt raston pe sada le gai mujhe aahat magar junun ki bacha le gai mujhe patthar ke jism mom ke chehre dhuan dhuan kis shahr mein uda ke hawa le gai mujhe mathe pe us ke dekh ke lali sindur ki zakhmon ki anjuman mein hina le gai mujhe khushbu pighalte lamhon ki sanson mein kho gai khushbu ki wadiyon mein saba le gai mujhe jo log bhik dete hain chehre ko dekh kar 'zarrin' unhin ke dar pe ana le gai mujhe