muddaa kuchh bhi ho lekin muddaa rakkha karo jazba-e-tamir se bhi wasta rakkha karo zindagi ke raste mein hain hazaron thokaren aabla-pai salamat jo sila rakkha karo mil hi jate hain ye aksar zindagi ki mod par ajnabi chehron se khud ko aashna rakkha karo dekhna shola-bayani bhi ada ban jaegi talkhi-e-izhaar mein husn-e-ada rakkha karo mom se bhi dosti ho aur shoalon se bhi pyar phir bhi un ke darmiyan kuchh fasla rakkha karo ghup andhera ho to phir milti nahin rah-e-najat zehn-o-dil ka raushni se rabta rakkha karo tum ko jina hai 'asar' is inqilabi daur mein apni fitrat mein zara fikr-e-rasa rakkha karo