be-shakl shabahat hai be-rabt sarapa hai jazbaat bhi jamid hain ehsas bhi tishna hai bahta hua dariya hai uthti hui maujen hain sadiyon ki masafat mein lamhon ka tamasha hai tahzib ka sannata sakin hai yahan shayad viran haweli ki dahliz pe parda hai uljhe hue insan ki taswir bhi uljhi hai aankhon mein andhera hai chehra pe ujala hai manzar ke tanazur tak kis tarah rasai ho nazron se bhi aage hai aankhon se bhi gahra hai ye lamha meri shab ka kitna hi muqaddas hai jismon ko milata hai ruhon ko jagata hai sae ke taaqub mein masruf hai roz-o-shab ham-zad mera 'shahid' auham ka mara hai