ho gaya hai khun thanda aag do ek taza ek zinda aag do lamha lamha kanpta hai mera dil raat kali khauf gahra aag do sans lena kis qadar dushwar hai munjamid hai mera sina aag do dast-o-pa ko subh tak rakhna hai garm sard sahra sard khema aag do baadalon se aasman aalud hai aur samundar barf-asa aag do bastiyon ne odh rakha hai kafan aur yahan har fard murda aag do mujh mein 'shahid' hujra-e-tarik hai jism-o-jaan hain sham-e-kushta aag do