be-tabi-e-gham-ha-e-darun kam nahin hogi ye aag to ab tum se bhi maddham nahin hogi daman ko ziya-e-rukh-e-mahtab se bhar le ab barish-e-anwar hai paiham nahin hogi tu hi dil-e-betab jo so jae to so jae ye chandni is raat to maddham nahin hogi main un ke liye ghair hun wo mere liye ghair achchha hai ki ab ranjish-e-baham nahin hogi hum sab ko suna kar hi rahenge gham-e-hasti aawaz kisi shor mein mudgham nahin hogi ab qafila-e-zist hi ruk jae to ruk jae ye dard ki lazzat to kabhi kam nahin hogi