kinara-dar-kinara mustaqil manjdhaar hai yun bhi mere pani mein jo kuchh hai wo yun pur-asrar hai yun bhi baha jata hun aksar dur lamhon ke hisaron se mere thahrao ke aaghosh mein raftar hai yun bhi kahan khaliyon ke viranon mein us ko dhundne jaen zamanon ka sira mere sire se par hai yun bhi yahan se yun bhi ek tajrid ki sarhad ubharti hai aur apne darmiyan anfas ki diwar hai yun bhi hamare gumbadon ki gunj ka chehra nahin to kya jo tujh se kah nahin sakte pas-e-izhaar hai yun bhi raha kya farq andar aur bahar mein 'riyaz' aakhir jo mujh mein kho chuka hai mujh se wo sab par hai yun bhi