be-tah meri nazar hai ki khud kam-nazar hun main az-bas isi khayal se zer-o-zabar hun main jis ko guman hai ki main hun sahib-e-kamal us ko khabar nahin ki bahut be-khabar hun main farman-e-did dil ko dun ya dun dimagh ko is baat ki samajh se abhi dur-tar hun main zahir mein khamushi ke kisi shai mein hun dhala dar-asl apne aap mein ek shor-o-shar hun main raushan hua ye mere sukhan se jahan par is daur-e-mashq-e-jaur ka ek nauhagar hun main taqdir apni mujh ko na aai sanwarni lekin ba-zoam-e-ap bada zi hunar hun main ai rabb-e-zul-jalal mujhe bakhsh aagahi duniya ke pech-o-kham mein ulajh kar kidhar hun main 'amjad' pe ho karam ki nazar malik-e-jahan teri ata se khub se bhi khub-tar hun main