kabhi jalta badan dekha kabhi uthta dhuan paya gunahon ke tasalsul se azab-e-jaan rawan paya rumuz-e-bandagi hum par khule un ke wasile se jinhen aalam ne rahmat ka muhit-e-be-karan paya muqaddar se bhala kyunkar na ahl-e-dil karen shikwa ki sham-e-jaan jala kar bhi andhera darmiyan paya bharam apni khirad-mandi ka tuta us ghadi jis dam habab-e-dajla mein hum ne samundar ko nihan paya bahaar aai chaman mein aur asiran-e-qafas ne bhi nai rut ki hawa pai naya ek pasban paya mera sar dekh kar bole mere ahbab dushman se ye kis sarkash ka sar hai jo sar-e-nok-e-sinan paya na ghuncha ka na bulbul ka na hi baad-e-bahaari ka chaman mein to faqat hum ne nishan-e-kushtagan paya khud apni zat mein hum qaid ho kar rah gae 'amjad' dil-e-nadan ko hum ne bhi wagarna khun-chakan paya