be-tahi yahi hogi ye jahan kahin honge sath katne wale sath-afrin honge aaftab hat jae jhilmilane wale hi aasman-e-viran mein raunaq aafrin honge zindagi manane ko wahm bhi ghanimat hain hum bhi wahm hi honge wahm agar nahin honge ye jata diya aakhir mujh ko mere ajza ne apne aap mein rahiye warna bas hamin honge dil mera mudabbir hai band-o-bast-e-alam ka masale kahin ke hon faisle yahin honge mere sath aae hain mere sath jaenge hon jahan qadam mere raste wahin honge waqt ki sawari par jo ruki hui hogi fasle karunga tai jo kahin nahin honge rang-o-nur partaw hain jin ki tab-kari ke tirgi ke wo jalwe kitne dil-nashin honge sochiye to sahra hai dubiye to dariya hai ek din 'muhib' sahab jis ke tah-nashin honge