be-talluq sare rishte kaun kis ka aashna sath sae ki tarah sab aur sab na-ashna karb jari hai bajae khun ragon mein sahibo kaun hai hum sa jahan mein gham se itna aashna han hamari nibh to sakti thi magar kaise nibhe apni khuddari mein hum aur wo wafa na-ashna ek ek ka munh taken beganagi ke shahr mein ab kahen kya kis se hum ab kaun apna aashna niw baithi ja rahi hai sari diwaren gain ghar ka basi ghar ki haalat se nahin kya aashna jo na karna tha karaya aur nadim bhi nahin ai dil-e-nadan kisi ka ho na tujh sa aashna ajnabi ek dusre se baat kya karte nahin ek zara se sath mein kya aashna na-ashna khum ba khum chhalke teri sahba nasha qaim rahe lazzat-e-zahrab gham se kab hua tha aashna para-e-simab bhi 'bilqis' thahra hai kahin wo talawwun-kesh kis ka dost kis ka aashna