hausla de de ke uncha mera sar us ne kiya zulm ke aage mujhe sina-sipar us ne kiya pyar se sab dushmanon ke dil mein ghar us ne kiya dosti ka marka is tarah sar us ne kiya jin ko pine ka saliqa tha na jine ka shuur band un logon pe maikhane ka dar us ne kiya pahle to diwar uthai shahr ke chaaron taraf phir usi diwar mein ek roz dar us ne kiya pahle apna gham tha par us ka tha ab duniya ka hai dhire dhire ek paude ko shajar us ne kiya kaun si shai thi jo is dharti ke daman mein na thi phir na jaane kyun khalaon ka safar us ne kiya jo 'khalish' waqif na the sher-o-sukhan ke nam se aam un logon pe 'ghaalib' ka hunar us ne kiya