be-wafa na-mehrban ye sach hai wo aisa to tha mat kaho kuchh us ko yaro jo bhi tha mera to tha bhid itni hai nagar mein kis jagah dhundun use ek chehra kuchh dinon pahle kahin dekha to tha raat aai aur aa ke mujh ko tanha kar gai kam se kam din tha to mere sath ek saya to tha ab to ek muddat hui koi sada aati nahin jin dinon tuta tha dil ek shor sa uttha to tha hum 'hasan' ko jaante hain aadmi achchha na tha do-ghadi ko pas aa ke dil ko bahlata to tha