apni wajh-e-barbaadi jaante hain hum lekin kya karen bayan logo maslahat-parasti par har qadam raha hum ko jurm ka guman logo khair hum to kante the aur hamein kuchalna bhi waqt ka taqaza tha phul jin ko samjhe the ab suna hai un se bhi hain wo sargiran logo jis kai ishq ki hum par tohmaten lagate ho us hasin paikar par hum ne dil hi khoya hai tum jo dekhte shayad war dete jaan logo kya sabab bataen hum nala-e-shabana ka puchh lo in aankhon se is nigah-e-jadu mein apne har tabassum ki hain kahaniyan logo waqt ki nazakat ka aaj jo taqaza hai jurm kal na kahlae tod do khamoshi ke aahani hisaron ko khol do zaban logo sher kya ghazal kaisi ai 'hasan' ye fan hai jis ko kuchh hi samjhenge dhundh pao to dhundho in chhupe ishaaron mein apni dastan logo