be-wajh nahin gard pareshan pas-e-mahmil aata hai koi be-sar-o-saman pas-e-mahmil az-bas kashish-e-ishq se aagah thi laila thi dekhti wo fitna-e-dauran pas-e-mahmil kis sokhta ki khak se uttha hai bagula ek shoala-e-jawwala hai pechan pas-e-mahmil fikr-e-qadam-e-naqa hua qais ko paida dekha jo hain sahra-e-mughilan pas-e-mahmil ai naqa-kash itni bhi na tu tez-rawi kar majnun zi-khud-o-rafta hai nalan pas-e-mahmil shayad main use dekhun 'hawas' ba-lab-e-khandan jata hun is ummid pe giryan pas-e-mahmil