jalta raha wo umr-bhar apni hi aag mein tere labon ki aanch na thi jis ke bhag mein chhoti si baat thi magar ek rog ban gai rahat milap hi mein rahi hai na tyag mein kaise kahun use ye dulhan hai bahaar ki phulon ka khun mahakta hai jis ke suhag mein wo husn ban ke gul ki tapish mein sama gaya hans hans ke jal gaya jo tere gham ki aag mein kahne ko mera saz hai lekin kise khabar kis kis ki dhun samai hai ek ek rag mein ek dagh ban ke dil mein sulagta hai ai 'salam' wo phul jis ka lams nahin apne bhag mein