be-wajh nain hai aaina har bar dekhna koi dam ko phulta hai ye gulzar dekhna nargis ki tarah khak meri ugen hain chashm tuk aan ke ye hasrat-e-didar dekhna khinche to tegh hai haram-e-dil ke said par ai ishq par bhala tu mujhe mar dekhna hai naqs-e-jaan did tera par yahi hai dhun ji jao yar ho mujhe yak-bar dekhna ai tifl-e-ashk hai falak-e-haftamin pa arsh aage qadam na rakhiyo tu zinhaar dekhna puchhe khuda sabab jo mere ishtiyaq ka meri zaban se ho yahi izhaar dekhna har naqsh-e-pa pe tadpe hai yaro har ek dil tuk waste khuda ke ye raftar dekhna karta to hai tu aan ke 'sauda' se ikhtilat koi lahr aa gai to mere yar dekhna tujh bin ajab maash hai 'sauda' ka in dinon tu bhi tuk us ko ja ke sitamgar dekhna ne harf o ne hikayat o ne sher o ne sukhan ne sair-e-bagh o ne gul-o-gulzar dekhna khamosh apne kalba-e-ahzan mein roz o shab tanha pade hue dar-o-diwar dekhna ya ja ke us gali mein jahan tha tera guzar le subh ta-ba-sham kai bar dekhna taskin-e-dil na is mein bhi pai to bahr-e-shaghl padhna ye sher gar kabhu ashaar dekhna kahte the hum na dekh saken roz-e-hijr ko par jo khuda dikhae so na-chaar dekhna