be-waza shab-o-roz ki taswir dikha kar ab dad na mango mujhe zanjir dikha kar kaisi hain kaf-e-lauh pe be-rabt lakiren mani na chhupao mujhe tahrir dikha kar ai shisha-e-jaan tujh mein lahu khatm bhi hoga ye nashsha utar jaega tasir dikha kar main sham-e-shab-zulm hun aaghaz-e-sahar tak dil bujhne laga subh ki tanwir dikha kar kis shakh pe hai harf-e-gul-e-surkh dikhao qail bhi karo lafz ki tafsir dikha kar yun sehr-e-kashish ne kiya eajaz ka munkir diwar-e-hawa par mujhe shahtir dikha kar hai koh-kani bar-e-amanat abhi sar par mat rok mujhe tesha-o-taqdir dikha kar kahte ho ki khwahish ka samar tursh hai 'shahid' aankhon ko ghalat khwab ki tabir dikha kar