kahan sambhalte hain bahte hue bahaw mein log magar jo zakhm uthaenge is chunaw mein log tumhaare nim-tabassum se saf zahir hai hum aise mar diye jaen rakh-rakhaw mein log ye mere haq mein lagatar bolte hue ab kisi natije pe pahunche tere dabaw mein log dahak raha hai abhi se rukh-e-ziyan-kari safar ka jaeza lenge kisi padaw mein log kahani jab kahin dhundla ke naqsh khone lage sarapa dekh liya karte hain alaw mein log tu apne waqt ka yusuf hai aur sar-e-bazar tujhe ganwa hi na den aise bhaw-taw mein log