be-zaban bhi tha ba-zaban bhi tha

be-zaban bhi tha ba-zaban bhi tha
kuchh khamoshi thi kuchh bayan bhi tha

kuchh andheron ki aazmaish thi
kuchh ujalon ka imtihan bhi tha

kuchh fasane ki khubiyan bhi thin
kuchh shagufta mera bayan bhi tha

kuchh nigahon mein tha bayaban bhi
kuchh tasawwur mein gulsitan bhi tha

rahbar ki bhi kuchh inayat thi
us taraf kuchh mera rujhan bhi tha

aisa lagta hai us ke lahje mein
kuchh yaqin bhi tha kuchh guman bhi tha

wo jo munkir bhi tha aqide ka
us aqide ka tarjuman bhi tha

jo zaban tak na aa saka jumla
han wahi hasil-e-bayan bhi tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close