duniya-e-husn-o-ishq ka ulTa hisab hai

duniya-e-husn-o-ishq ka ulta hisab hai
na-kaamyab hai jo yahan kaamyab hai

ahl-e-wafa pe roz-e-azal se itab hai
duniya kharab hai na zamana kharab hai

ru-e-hasin pe un ke jalal-o-jamal ki
ek aur hai naqab jo zer-e-naqab hai

itni bhi dur rahne ki koshish na kijiye
is ijtinab ka to mohabbat jawab hai

jis ke waraq waraq pe hai tafsir-e-kaenat
ye zindagi ek aisi mukammal kitab hai

ab dil mein yaad-e-mazi-e-marhum bhi nahin
kitna hasin fareb naya inqalab hai

'yakta' ghazal mein jazba-e-bedar chahiye
insan ka zamir abhi mahw-e-khwab hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close